Shayari



sms

Umar Kitni Manzilein Tay Kar Chuki Thi Magar,
Dil Ek Baar Tere Dil Se Takraya To Thehra Hi Reh Geya!

sms

Naam Tera Aise Likh Chuka Hun Apne Wajood Par,
Ki Hum-Naam Koi Tera Mil Jaaye To Bhi Dil Dhadak Jaata Hai!

sms

Itni Tehzeeb Se Pesh Aana Aadat Hai Tumhari,
Ya, Mujhe Qatal Karne Ki Sazish Hai Tumhari!

sms

Kitne Mazboor Hain Hum Is Ishq Ke Haathon,
Na Tujhe Paane Ki Aukaat, Na Tujhe Khone Ka Haunsla!

sms

Us Ke Saath Rehte-Rehte, Us Ki Chahat Si Ho Gayi Hai;
Us Se Baat Karte Karte, Uski Aadat Si Ho Gayi Hai;
Ek Pal Na Mile Toh Bechani Si Lagti Hai,
Dosti Nibhate-Nibhate, Us Se Mohabbat Si Ho Gayi Hai!

sms

Dil Mein Humne Tumhare Pyaar Ki Dastaan Likhi Hai,
Na Thodi Na Tamaam Likhi Hai,
Kabhi Humare Liye Bhi Dua Kar Liya Karo Sanam,
Humne Toh Har Ek Saans Tumhare Naam Likhi Hai!

sms

Gale Mila Hai Woh Mast-E-Shabab Barson Mein,
Hua Hai Dil Ko Suroor-E-Sharaab Barson Mein,
Nigaah-E-Mast Se Us Kee Hua Yeh Haal Mera,
Ki Jaise Pee Ho Kisi Ne Sharaab Barson Mein!

sms

Koi Puch Raha Hai Mujhse Meri Zindagi Kee Keemat,
Mujhe Yaad Aa Raha Hai Tera Halke Se Muskurana!

sms

Tere Paas Mein Baithna Bhi Ibadat, Tujhe Door Se Dekhna Bhi Ibadat;
Na Mala Na Mantar, Na Pooja Na Sajda, Tujhe Har Ghadi Sochna Bhi Ibadat!

sms

Tum Aa Gaye Ho To Ab Aaina Bhi Dekhein Ge,
Abhi Abhi To Nigaahon Mein Roshni Hui Hai!

End of content

No more pages to load

Next page