Yeh Mana Ke Mohabbat Karna Hai Jurm Magar,
Yeh Jurm Yaaro Baar Baar Karte Hain Hum,
Woh Bewafa Hai Sangdil Hain Jaante Hain Magar,
Unpar Yaaro Aaj Bhi Aitbaar Karte Hain Hum!
Yuhi Aankhon Se Aansu Behte Nahi,
Kisi Aur Ko Hum Apna Kehte Nahi,
Ek Tum Hi Ho Jo Ruk Se Gaye Ho Zindagi Mein,
Varna Rukne Ke Liye Hum Kisi Ko Kehte Nahi!
Jab Tak Bika Na Tha To Koi Poochta Na Tha,
Tune Mujhe Khareed Ke Anmol Kar Diya!
Adaa Hai, Khwaab Hai, Taskeen Hai, Tamasha Hai;
Meri Aankhon Mein Ek Shakhs Be-Tahasha Hai!
Roz Aata Hai Mere Dil Ko Tasalli Dene,
Khyal-e-Yaar Ko Mera Khyal Kitna Hai!
Sukun Milta Hai Jab Unse Baat Hoti Hai,
Hazar Raaton Mein Wo Ek Raat Hoti Hai,
Nigah Uthakar Jab Dekhte Hain Wo Meri Taraf,
Mere Liye Wohi Pal Poori Kaaynat Hoti Hai!
Tazurba Kehta Hai Ki Mohabbat Se Kinara Kar Lu,
Aur Dil Kehta Hai Ki Yeh Tazurba Dobara Kar Lu!
Bass Tumhe Paane Ki Tamanna Nahi Rahi Ab,
Pyaar Toh Hum Aaj Bhi Beshumaar Karte Hain!
Dil Tootne Par Bhi Jo Shakhs Aap Se Shikayat Na Kar Sake,
Us Shakhs Se Zyada Mohabbat Aapko Aur Koi Kar Nahi Sakta!
Har Baar Dil Se Ye Paigam Aaye, Zuban Kholu To Tera Hi Naam Aaye;
Tum Hi Kyon Bhaye Dil Ko Kya Maloom, Jab Nazron Ke Samne Haseen Tamam Aaye!