
Phir Ye Kis Ne Mujhe Jagaya Hai; Phir Se Khwabon Mein Kaun Aaya Hai!

'Sauda' Hue Jab Aashiq Kya Paas Aabru Ka;
Sunta Hai Ai Deewane Jab Dil Diya To Phir Kya!

Kisi Kali Kisi Gul Mein Kisi Chaman Mein Nahi; Wo Rang Hai Hi Nahi Jo Tere Badan Mein Nahi!

Tum Na Maano Magar Haqeeqat Hai; Ishq Insaan Ki Zaroorat Hai!

Jab Tere Gham Se Nikalne Ki Na Surat Nikle; Tera Vahshi Kisi Deewar Se Ja Lagta Hai! * Vahshi: Crazed (Person)

Honthon Pe Kabhi Un Ke Mera Naam Hi Aaye; Aaye To Sahi Bar-Sar-e-Ilzam Hi Aaye!

Dil Ko Phir Ummeed Garmane Lagi, Phir Mujhe Duniya Nazar Aane Lagi; Dil Pe Daali Hai Kisi Ne Phir Nigaah, Saans Phir Aane Lagi Jaane Lagi!

Ishq Maashuq Ishq Ashiq Hai; Yaani Apna Hi Mubtala Hai Ishq! * Mubtala: Afflicted, Distressed

Yeh Aur Baat Teri Gali Mein Na Ayen Hum; Lekin Yeh Kya Ki Tera Sheher Chod Jayen Hum; Muddat Hui Hai Kuye Bataan Ki Taraf Gaye, Awargi Se Dil Ko Kahan Tak Bachayein Hum!

Chahaton Ka Silsila Hai Mustaqil; Sabz Mausam Karb Ka Hai Mustaqil!