Honthon Pe Kabhi Un Ke Mera Naam Hi Aaye; Aaye To Sahi Bar-Sar-e-Ilzam Hi Aaye!
Dil Ko Phir Ummeed Garmane Lagi, Phir Mujhe Duniya Nazar Aane Lagi; Dil Pe Daali Hai Kisi Ne Phir Nigaah, Saans Phir Aane Lagi Jaane Lagi!
Ishq Maashuq Ishq Ashiq Hai; Yaani Apna Hi Mubtala Hai Ishq! * Mubtala: Afflicted, Distressed
Yeh Aur Baat Teri Gali Mein Na Ayen Hum; Lekin Yeh Kya Ki Tera Sheher Chod Jayen Hum; Muddat Hui Hai Kuye Bataan Ki Taraf Gaye, Awargi Se Dil Ko Kahan Tak Bachayein Hum!
Chahaton Ka Silsila Hai Mustaqil; Sabz Mausam Karb Ka Hai Mustaqil!
Ulfat Mein Barabar Hai Wafa Ho Ki Jafa Ho; Har Baat Mein Lazzat Hai Agar Dil Mein Maza Ho! *Jafa: Violence, Injustice *Lazzat: Taste, Flavour
Madhoshiyon Se Kaam Liya Hai Kabhi Kabhi; Haath Un Ka Hum Ne Thaam Liya Hai Kabhi Kabhi!
Qadmon Pe Dar Ke Rakh Diya Sar Taki Uth Na Jayen; Naraz Dil-Lagi Mein Jo Vo Ik Zarra Hue! *Zarra: A Bit
Abhi Samjhayen Kya Tum Ko Abhi Tum Ishq Mein Ho; Abhi To Bas Duayen Lo Abhi Tum Ishq Mein Ho!
Ishq Hota Hai Kya Pata Hota; Gar Parindon Se Vaasta Hota!



