Lafz Ka Bas Hai Talluq Mere Tere Darmiyan;
Lafz Ke Maani Pe Qaayam Saare Rishton Ka Nishan!
Bahut Dinon Mein Mohabbat Ko Ye Hua Malum;
Jo Tere Hijr Mein Guzri Wo Raat Raat Hun!
Ghuroor Ishq Ke Adab Seeikh Jayega;
Kabhi Wo Rooth Ke Dekhe Kabhi Manaye To!
Achha Hai Ki Laga Nahi Unhen Pyaar Ka Rog;
Aate Aate Ayenge Raah Pe Agle Log!
Log Kehte Hain Ki Tu Ab Bhi Khafa Hai Mujh Se;
Teri Aankhon Ne To Kuch Aur Kaha Hai Mujh Se!
Na Paak Hoga Kabhi Husn-o-Ishq Ka Jhagda;
Wo Qissa Hai Ye Ki Jis Ka Koi Gawah Nahi!
Jis Ko Aankhon Se Door Rakhna Tha;
Aaj Qurbat Mein Phir Wahi Kyon Hai!
*Qurbat: Nearness, Vicinity
Dil Nadaan Hai Roz Koi Nadaani Karta Hai;
Aag Mein Aag Milata Hai Phir Paani Karta Hai!
Main To Itna Bhi Samajhne Se Raha Hun Qasir;
Raah Takne Ke Siva Aankh Ka Maqsad Kya Hai!
*Qasir: Unable, Failing
Kahte Hain Aankh Aankh Se Milnaa Hai Bandagi;
Duniya Ke Chhod Kaam Zara Aankh To Mila!



