
Kal Raat Pi-Pila Ke Badi Mastiyan Hui;
Aakhir Ko Thak-Thaka Ke Phir Apne Hi Ghar Gaye!

Aao Janab-e-Shaikh Chalo Mai-Kada Chalen;
Arsa Hua Hai Mai-Kada Veeran Kiye Hue!

Kharab Hote Kharabe Mein Aur Kya Hota;
Huzur-e-Saqi Agar Hum Subu Subu Karte!

Fasl-e-Bahar Aayi Piyo Sufiyo Sharab;
Bas Ho Chuki Namaaz Musalla Uthaiye!

Saaqi Humein Kasam Hai Teri Chashm-e-Mast Ki;
Tujh Bin Jo Khwab Mein Bhi Piyen Mai Haram Ho!

Jawaan Hai Raat Saqiya Sharab La Sharab La;
Zara Si Pyaas To Bujha Sharab La Sharab La!

Didani Hai Tere Itaab Ka Rang;
Shisha-e-Chashm Mein Sharab Ka Rang!
*Didani - Visible
*Itaab - Temper, Anger

Aisa Na Ho Ki Sakht Ka Ho Sakht-Tar Jawab;
Yaaron Sambhal Ke Vaar Karo Main Nashe Mein Hun!

Sakiya Ek Nazar Jaam Se Pehle Pehle;
Hum Ko Jana Hai Kahin Sham Se Pehle Pehle!

Badi Azmat Se Khud Saqi Ne Ja Kar Peshwai Ki;
Sharabi Koi Mai-Khana Ke Andar Jab Musin Aaya!
* Musin - Old/Aged