
Woh Cheez Jis Ke Liye Hum Ko Ho Bahisht Aziz;
Siwaye Bada-e-Gulfaam-e-Mushq-Bu Kya Hai!
Bahisht: Heaven
Aziz: Beloved
Bada-e-Gulfaam-e-Mushq-Bu: Rose Coloured Wine With Musky Fragrance

Ya Haathon Haath Lo Mujhe Jaise Ki Maanind-e-Jaam-e-Mai;
Ya Todi Door Saath Chalo, Main Nashe Mein Hoon!
Maanind-e-Jaam-e-Mai: Like The Glass Of Wine

Main Mai-Qada Ki Raah Se Ho Kar Nikal Geya;
Varna Safar Hayaat Ka Kaafi Taweel Tha!
Mai-Qada: Bar
Hayaat: Life
Taweel: Long

Be Piye Hi Sharaab Se Nafrat;
Ye Zahaalat Nahin To Phir Kya Hai!

Humein Peene Se Matlab Hai Jagah Ki Qaid Kya 'Bekhud',
Usi Ka Naam Kaba Rakh Diya, Botal Jahan Rakh Di!

Tum Kya Jano Sharab Kaise Pilayi Jaati Hai,
Kholne Se Pehle Botal Hilayi Jaati Hai;
Phir Aawaaz Lagayi Jaati Hai Aa Jao Tute Dil Walo,
Yahan Dard-e-Dil Ki Dawa Pilayi Jaati Hai!

Tere Ehsas Ne Humein Aisa Nasha Diya;
Ki Ab Sharab Se Nafrat Si Ho Gayi Hai!

Nasha Mohabbat Ka Ho Ya Sharab Ka;
Hosh Dono Mein Kho Jate Hain;
Fark Sirf Itna Hai Ki Sharab Sula Deti Hai;
Aur Mohabbat Rula Deti Hai!

Aaye The Hanste Khelte Mai-Kade Mein Firaq;
Jab Pee Chuke Sharaab To Sanjeeda Ho Gaye!
Paani Se Pyaas Na Bujhi;
Toh Maikhane Ki Taraf Chal Nikla;
Socha Shikayat Karun Teri Khudha Se;
Par Khudha Bhi Tera Aashiq Nikla!