
Yaad Rukti Nahi Rok Paane Se;
Dil Maanta Nahi Kisi K Samjhane Se;
Ruk Jati Hai Dhadkene Aapko Bhool Jane Se;
Isliye Aapko Yaad Karte Hai Zeene Ke Bhane Se!

Abhi Mashroof Hun Kafi Kabhi Fursat Mein Sochunga;
Ke Tujhko Yaad Rakhne Me Mai Kya-Kya Bhool Jata Hun!

Saare Shikwe Jawab Tere Hai;
Dil Pe Saare Ghaav Tere Hai;
Tum Yaad Aao To Nind Nahi Aati;
Nind Aaye To Saare Khwab Tere Hai!

Dost Ki Yaad Se Badi Koi Daulat Nahin Hoti;
Sath Rehna Hi Dost Ki Jarurat Nahin Hoti;
Duriyan Kardeti Ha Yaadon Ko Jinda;
Warna Yaadon Ki Koi Keemat Nahin Hoti!

Yaad Rukti Nahi Rok Paane Se;
Dil Maanta Nahi Kisi Ke Samjhane Se;
Ruk Jati Hai Dhadkane Aapko Bhool Jane Se;
Isliye Aapko Yaad Karte Hai Zeeneh Ke Bhane Se!
Dost Ki Yaad Se Badi Koi Daulat Nahi Hoti;
Sath Rehna Hi Dost Ki Jarurat Nahi Hoti;
Duriyan Kardeti Hai Yadoon Ko Jinda;
Warna Yadoon Ki Koi Keemat Nahi Hoti!

Kadmo Ki Duri Se Dilo Ke Fasle Nahi Badte;
Dur Hone Se Dosti Ke Ehsaas Nahi Marte;
Kuch Kadmo Ka Fasla Hi Sahi Hamare Bech;
Par Koi Pal Nahi Jab Aapko Hum Yaad Nahi Karte!
Kabhi Ek Lamha Aisa Bhi Aata Hai;
Jisme Beeta Hua Kal Nazar Aata Hai;
Bas Yaaden Reh Jati Hai Yaad Karna Ke Liye;
Aur Waqt Sab Kuch Lekar Guzar Jata Hai!

Maghrib Ki Waadion Mein Goonji Azaan Hamari;
Thamta Na Tha Kisi Se Sail-E-Rawaan Hamara!

Yeh Mat Kehna Ke Teri Yaad Se Rishta Nahi Rakha;
Mein Khud Tanha Raha Dil Ko Magar Tanha Nahi Rakha;
Tumhari Chahton Ke Phool Tu Mehfooz Rakhey Hain;
Tumhari Nafraton Ki Peerh Ko Zinda Nahi Rakha!