
Uthe Hain Jab Yeh Haath Duaon Ko;
Rab Se Tere Liye Hi Fariyaad Karte Hain;
Tu Humein Bhulla Bhi De To Kya;
Hum To Tumhe Har Pal Yaad Karte Hain!

Unki Yaad Mein Sab Kuch Bhulla Baithe Hain;
Chiraag Khusiyo Ke Bujha Baithe Hain;
Hum To Marenge Unki Baahon Mein;
Ye Bhi Shart Maut Se Lagaa Baithe Hain!

Saarey Maahol Mein Khusboo Hai Teri Yaadon Ki;
Hum Ne Gham-Khaney Ko Bhi Phoolon Sey Saja Rakha Hai!

Yaad Aati Hai Jo Marhoom Tamannaaon Ki;
Bhool Jaata Hun Ke Mehroom-E-Tamanna Hun Main!

Bichri Hui Raahon Se Jo Guzrey Hum Kabhi;
Har Gham Par Khoyi Hui Ik Yaad Mil Gayi!

Kabhi Tujhko Chandni Raaton Mein;
Yaad Aayein Jo Hum Barsaaton Mein;
Nafrat Hi Se Lena Naam Mera;
Jo Zikar Mera Ho Baaton Mein!

Gehri Thi Raat, Lakin Hum Khoye Nahi;
Dard Bahoot Tha Dil Mein, Lakin Hum Roye Nahi;
Koi Nahi Hamara Jo Puche Humse;
Jag Rahe Ho Kisi Ke Liye, Ya Kisi Ke Liye Soye Hi Nahi!

Muddatein Guzreen Teri Yaad Bhi Aayi Na Humein;
Aur Hum Bhool Gaye Hon Tujhey Aisa Bhi Nahi;
Sar Mein Sauda Bhi Naheen Dil Mein Tamanna Bhi Nahi;
Lekin Is Tark-E-Mohabbat Ka Bharosa Bhi Nahi!
Tark-E-Mohabbat = Abandonment of Love

Teri Yaad Mein Har Pal Khoya Hu Main;
Tujhe Mehsus Kar Akele Roya Hu Main;
Na Jaane Kab Tera Deedar Ho;
Iss Intzaar Mein Khuli Aankho Se Soya Hu Main!

Har Ek Majar Par Udasi Chhayi Hai;
Chand Ki Roshni Mein Bhi Kami Aayi Hai;
Akele Acchhe The Hum Apne Aashiyane Mein;
Jane Kyun Tutkar Aaj Fir Aapki Yaad Aayi Hai!