
Main Bataun Farq Naseh Jo Hai Mujh Mein Aur Tujh Mein;
Meri Zindagi Talatum Teri Zindagi Kinara!
Naseh: Advisor
Talatum: High Tide. Upsurge Of Waves

Jo Khushi Hai Fani Toh Gham Bhi Fani;
Na Ye Javedani Na Woh Javedani!
Fani: Mortal
Javedani: Immortal, Forever, Eternal

Zindagi Yun Hi Hui Basar Tanha;
Qafila Saath Aur Safar Tanha!
Basar: Spent
Qafila: Caravan
Tanha: Lonely

Umr Tamaam Bahaar Ki Umeed Mein Guzar Gayi;
Bahaar Aayi Hai Toh Maut Ka Paigaam Layi Hai!

Subah Hoti Hai Shaam Hoti Hai;
Umra Yun Hi Tamaam Hoti Hai!

Mehnat Lagti Hai Sapno Ko Sach Banane Mein;
Haunsla Lagta Hai Bulandiyon Ko Paane Mein;
Barson Lagte Hain Zindagi Banane Mein;
Aur Zindagi Phir Bhi Kam Padti Hai Pyaar Nibhane Mein!

Lamhon Ki Ek Kitaab Hai Zindagi;
Saanson Aur Khyalon Ka Hissab Hai Zindagi;
Kuch Zaroorate Poori Kuch Khwaishein Adhoori;
Bas Inhi Sawalon Ka Jawab Hai Zindagi!

Kismat Ke Aage Zor Hamesha Chale Zaroori Toh Nahi;
Tamannaye Lakh Ho Par Sab Poori Ho Zaroori To Nahi;
Keemat Toh Har Kadam Par Sabko Chukani Padti Hai;
Fir Bhi Zindagi Ka Har Karz Chuk Paye Zaroori Toh Nahi!

Dhoop Mein Niklo Ghataon Mein Naha Kar Dekho;
Zindagi Kya Hai Kitabon Ko Hata Kar Dekho!

Maut Ne Chupke Se Na Jane Kya Kaha;
Aur Zindagi Khamosh Ho Kar Reh Gayi!