
Zindagi Ka Lamha Bahut Chhota Sa Hai;
Kal Ki Koi Buniyad Nahi Hai Aur Aane Wala Kal Sirf Sapne Mein Hai!

Ye Aur Baat Hai Ki Aandhi Hamare Bas Mein Nahi,
Magar Chirag Jalana To Ikhtiyar Mein Hai!

Toofano Mein Kashti Ko Kinaare Bhi Milte Hain;
Jahan Mein Logo Ko Sahaare Bhi Milte Hain;
Duniya Mein Sabse Pyaari Hai Zindagi;
Kuch Log Zindagi Se Bhi Pyaare Milte Hain!

Zindagi Tujhse Har Kadam Par Samjhauta Kyon Kiya Jaye;
Shaunk Jeene Ka Hai Magar Itna Bhi Nahi Ki, Mar-Mar Ke Jiya Jaye;
Jab Jalebi Ki Tarah Uljh Hi Rahi Hai Tu Ai Zindagi;
Toh Fir Kyon Na Tujhe Chaashni Mein Dubokar Maza Hi Le Liya Jaye!

Daayra Har Baar Banata Hoon Zindagi Ke liye;
Lakeerein Wahin Rehti Hain Main Khisak Jaata Hoon!

Zindagi Guzar Gayi Saari Kanton Kee Kagaar Par;
Aur Phoolon Ne Machai Hai Bheed Hamari Mazaar Par!
Agar Tamaam Baatein Taqdir Mein Likhi Hoti Toh;
Main Apne Bando Ko Dua Maangna Na Sikhata!
Zindagi Meri Thi Lekin Ab Toh;
Tere Kehne Mein Raha Karti Hai!
Chehre Ki Hansi Se Har Gham Ko Chupao;
Bahut Kuch Bolo Par Kuch Na Batao;
Khud Na Kabhi Rootho Par Sabko Manao;
Raaz Hai Yeh Zindgi Ka, Bas Jeete Chale Jao!
Chehre Ki Hansi Se Har Gham Chupao;
Bahut Kuch Bolo Par Kuch Na Batao;
Khud Na Rutho Kabhi Par Sabko Manao;
Yeh Raaz Hai Zindagi Ka, Bas Jeete Jao!