
Samajh Na Aaye Ai Zindagi Tera Yeh Faisla,
Ek Taraf Kehte Hain Sabar Ka Phal Meetha Hota Hai,
Aur Dusri Taraf Kehte Hain Waqt Kisi Ka Intezar Nahi Karta!

Udasiyon Ki Vajah To Bahut Hai Zindagi Mein,
Lekin Bevajah Khush Rehne Ka Maza Hi Kuch Aur Hai!

Sair Kar Duniya Ki Ghafil Zindagani Phir Kahan,
Zindagi Gar Kuch Rahi To Yeh Jawani Phir Kahan!

Sikha Diya Hai Jahaan Ne Har Zakham Pe Hansna,
Le Dekh Zindagi, Ab Tujhse Nahi Darte Hum!
Zindagi Tasveer Bhi Bhi Hai Aur Taqdeer Bhi;
Farak To Bas Iske Rango Ka Hai;
Mann Chahe Rango Se Bane To Hai Tasveer;
Aur Aanjane Rango Se Bane To Hoti Hai Taqdeer!
Ruthi Jo Zindagi To Mana Lenge Hum;
Mile Jo Gham Wo Seh Lenge Hum;
Bas Aap Rehna Hamesha Saath Hamare To;
Nikalte Hue Aansuon Mein Bhi Muskura Lenge Hum!

Zindagi Tujh Se Har Ek Saans Pe Samjhauta Karun;
Shaunk Jeene Ka Hai Mujh Ko Magar Itna To Nahi;
Rooh Ko Dard Mila Dard Ko Aankhein Na Mili;
Tujh Ko Mehsoos Kiya Hai Tujhe Dekha To Nahi!
Zindagi Jeete Jeete Hum Marna Seekh Gaye;
Khade The Maut Kee Raah Pe Magar Jeena Seekh Gaye;
Ab To Is Zindagi Pe Bhi Taras Aane Laga Hai;
Jo Jeete Hue Marna Aur Marte Hue Jeena Seekh Gaye!
Kashish Honi Chahiye Kisi Ko Yaad Karne Kee;
Lamhe To Apne Aap Hi Mil Jayenge;
Waqt Hona Chahiye Kisi Ko Milne Ka;
Bahane To Apne Aap Hi Mil Jaynege!

Na Gul Na Yeh Gulistan Hamara Hai;
Jise Pujte Hain Na Woh Farishta Hamara Hai;
Chal Pade Hain Jis Manzil Kee Taraf;
Na Woh Manzil Na Woh Raasta Hamara Hai!