Mom Kee Tarah Pighalti Ja Rahi Hai Zindagi;
Kyon Is Tarah Hath Se Fisal Rahi Hai Zindagi;
Hum Tumhein Pana Chahte Hain, Dil Mein Basana Chahte Hain;
Par Kyon Unchahe Sadmon Se Guzar Rahi Hai Zindagi!

Bahut Pehle Se Un Kadmon Kee Aahat Jaan Lete Hain;
Tujhe Ai Zindagi Hum Door Se Pehchan Lete Hain!

Zindagi Se Sabhi Ko Mohabbat Hai;
Magar Zindagi Kisi Kee Mohabbat Nahi Banti;
Tamanna Le Kar Jeete Hain Sab Log;
Magar Har Tamanna Taqdeer Nahi Banti!

Itni Badsaluki Na Kar Ai Zindagi;
Hum Kaun Sa Yahan Baar-Baar Aane Wale Hain!

Khuda Mujhe Kisi Toofan Se Aashna Kar De;
Ki Tere Behar Kee Maujon Mein Iztrab Nahi;
Tujhe Kitaab Se Mumkin Nahi Faraag Ki Tu;
Kitaab-Khawan Hai Magar Sahib-e-Kitaab Nahi!
Meaning:
Aashna = Introduce
Behar = Sea
Iztrab = Restlessness
Faraa g = Freeness
Kitaab-Khawan = Reader of book
Sahib-e-Kitaab = Owner of book
Na Afsos Hai Tujhe Sahab Na Koi Sharmindagi Hai;
Guzar Rahi Hai Jo Gunaahon Mein Yeh Kaisi Zindagi Hai!

Baare Duniya Mein Raho Gham-Zada Ya Shaad Raho;
Aisa Kuch Kar Ke Chalo Yahan Ki Bahut Yaad Raho!
Phool Bankar Muskurana Zindagi;
Muskurake Ghum Bhulana Zindagi;
Jeet Kar Koi Khush Ho Toh Kya Hua;
Haar Kar Khushiyan Manana Bhi Hai Zindagi!
Gham-e-Hayaat Pareshaan Na Kar Sakega Mujhe;
Ki Aa Geya Hai Hunar Mujh Ko Muskurane Ka!

Maza Deti Hain Unko Zindagi Kee Thokrein 'Mohsin';
Jinko Naam-e-Khudaa Le Kar Sambhal Jaane Kee Aadat Ho!