
Jo Yakeen Ke Raah Par Chal Pade, Unhein Manzilon Ne Panaah Dee;
Jinhe Vassvason Ne Daraa Diya, Woh Kadam Kadam Par Behak Gaye!
Maut Ne Chupke Se Najaney Kya Kaha;
Aur Zindagi Khamosh Ho Kar Reh Gayi!

Khawabon ki Tabeer Mein Zindgi Uljhaa Li Itni;
Ke Haqeeqat Mein Rehna Ka Saleeka Hi Hum Bhool Gaye!
Kash Takdeer Bhi Hoti Zulf Ki Tarah;
Jab Jab Bikharti, Tab Tab Sawaar Lete!
Teri Khushi Se Agar Gham Mein Bhi Khushi Na Hui;
Woh Zindagi To Mohabbat Ki Zindagi Na Hui!
Haath Mein Haath Un Ka Yun Aaya;
Zindagi Mere Haath Lag Gai Ho Jaise!

Bana Kar Faqeeron Ka Hum Bhes 'Ghalib';
Tamasha Ehl-e-Karam Dekhte Hain!

Khuda To Milta Hai, Insaan Hi Nahin Milta;
Yeh Cheez Woh Hai Jo Dekhi Kahin Kahin Maine!
Aag Paani Mein Lagane Ka Hunar Seekha Hai;
Kaam Mushkil Hai Bahut Hum Ne Magar Seekha Hai;
Yeh Jo Chaltay Nazar Aatay Hain Musalsal Hum Log;
Kuch To Paanay Ki Talab Hai Jo Safar Seekha Hai!

Guzar Na Jaye Kahin Umar Ehteyaaton Mein;
Jo Kaam Karne Hain Woh Deewana-War Kar Daloon!
Translation:
Deewana = War;like Crazies