
Elahi Teri Mukhlooq Ka Ajab Tamasha Dekha;
Chalaktey Jaam Dekhey Samundar Ko Piyasa Dekha;
Ye Kya Maajra Hai Apni To Samajh Main Nahi Aaya;
Admi Apni Hi Justajoo Main Ulajhta Dekha!

Jab Se Suna Hai Ki Marne Ka Naam Jindgi Hai;
Sar Pe Qafan Liye Qaatil Ko Dhundhte Hein!

Kitnaa Khouff Hota Hai Shaam Kay Andheroon Mein;
Poonch Un Parindoo Say Jin Kay Gharr Nahi Hotay!

Dil Ke Liye Dard Bhi Roz Naya Chahiye;
Zindagi Tu Hi Bata Kaise Jina Chahiye;
Maano Meri Kazmi, Tum Ho Bhaley Aadmi;
Phir Wohi Aawargi, Kuch To Haya Chahiye!

Jab Rooh Kisi Bojh Se Thak Jaati Hai;
Ehsaas Ki Lau Aur Bhi Barh Jaati Hai;
Main Badhta Hoon Zindagi Ki Taraf Lekin;
Zanjeer See Paon Mai Chanak Jaati Hai!

Haath Mein Uske Kalam Ka Aana Acha Lagta Hai;
Usko Bhi School Ko Jaana Acha Lagta Hai;
Bada Kar Diya Ghardish Ne Waqt Se Pehle Warna;
Sar Pe Kisko Bojh Uthana Acha Lagta Hai!
Hasane Ke Baad Kyu Rulati Hai Duniya;
Jaane Ke Baad Kyu Bhulati Hai Duniya;
Zindagi Me Kya Koi Kasar Baaki Thi;
Jo Mar Jaane Ke Baad Bhi Jalati Hai Duniya!

Naraz Hona Aapse Galti Kehlayegi;
Aapki Ruswaie Se Saanse Tham Jayengi;
Haste Rehna Hamesha;
Aapki Hasi Se Hamari Zindagi Savar Jayegi!

Zindagi Jeete Jeete Hum Marna Seekh Gaye;
Maut Ki Raah Pe Khade Hai Par Kambakt Jeena Seekh Gaye;
Ab To Is Zindgi Pe Bhi Taras Aane Laga Hai;
Jo Jeete Hue Marna Aur Marte Hue Jeena Seekh Gaye!

Har Lamha Apke Hothon Pe Muskan Rahe;
Har Gum Se Aap Anjaan Rahen;
Jiske Sath Mehak Uthe Aapki Zindgi;
Hamsha Aapke Pass Woh Insan Rahe!