
Ajeeb Sa Qissa Hai Is Duniya Ka Bhi;
Har Koi Sab Kuch Batorne Mein Laga Hai Khaali Haath Jaane Ke Liye!

Kahin Zameen Se Taalluq Na Khatam Ho Jaye;
Bahut Na Khud Ko Hava Mein Uchhaliye Sahib

Haathon Ki Lakeeron Pe Mat Ja Ai Ghalib;
Naseeb Unke Bhi Hote Hain Jinke Haath Nahi Hote!

Samandar Na Sahi Ek Nadi Toh Honi Chahiye;
Tere Shehar Mein Zindagi Kahin Toh Honi Chahiye!

Hasil-e-Zindgi Hasraton Ke Siwa Kuch Bhi Nahi;
Yeh Kiya Nahi, Woh Hua Nahi, Yeh Mila Nahi, Woh Raha Nahi!

Kis Kaam Ki Rahi Yeh Dikhave Ki Zindagi;
Vaade Kiye Kisi Se, Guzaare Kisi Ke Saath!

Jo Padha Hai Use Jeena Hi Nahin Hai Mumkin;
Zindagi Ko Main Kitabon Se Alag Rakhta Hoon!

Kabhi Main Apne Haathon Ki Lakeeron Se Nahin Uljha;
Mujhe Maloom Hai Qismat Ka Likha Bhi Badalta Hai!

Safar Zindagi Ka Kaise Katega Aakhir;
Dilon Se Nafrat Ke Parde Hatao Yaaro!

Jiske Paas Sirf Sikke The Woh Maze Se Bheegte Rahe Barish Mein;
Jiske Jeb Mein Note The Woh Chhatt Talashte Reh Gaye!