
Kehte Hain Jeete Hain Umeed Pe Log;
Hum Ko Jeene Ki Bhi Umeed Nahi!

Dard-o-Gham Hijr-o-Firaaq Gauhar Hain Hayat Ke;
Bas Sakoon Se Jo Guzar Jaye, Zindagi Nahi!

Maut Ko Jab Aana Tha Aa Hi Gayi;
Zindagi Ki Tarah Usne Dhokha Nahi Diya!

Fir Kar Na Baithe Meri Zindagi Ki Dua Koi;
Mere Dushman Mere Janaze Mein Tum Shamil Rehna!

Raah Mein Nikale The Ki Yeh Soch Kar Kisi Ko Bana Lenge Apna;
Magar Is Khwahish Ne Zindagi Bhar Ka Musafir Bana Diya!

Aur Zindagi Se Koi Aas Na Rakhi Humne;
Paane Ke Baad Tumhein Koi Pyaas Na Rakhi Humne!

Chehre Ki Hasi Se Har Gham Chupao,
Bahut Kuch Bolo Par Kuch Na Batao;
Khud Na Rootho Kabhi Par Sab Ko Manao,
Yeh Raaz Hai Zindagi Ka, Bas Jeete Jao!

Hai Ajeeb Shehar Ki Zindagi Na Safar Raha Na Kayaam Hai,
Kahin Karobaar Si Dopehar Kahin Badmizaaz Si Shaam Hai!

Ek Musht-e-Khaaq Aur Woh Bhi Hawa Ke Zad Mein Hai;
Zindagi Ki Bebasi Ka Istiyaara Dekhna!
Musht-e-Khaaq: A fist full of dust
Zad: Control, Hold
Istiyaara: Metaphor

Khushi Takdiron Mein Honi Chahiye;
Tasviron Mein Toh Har Koi Khush Nazar Aata Hai!