Vo Ham-Safar Tha Magar Us Se Ham-Navaai Na Thi;

Ki Dhoop Chhaanv Ka Aalam Raha Judaai Na Thi!

Ab Us Ki Shakl Bhi Mushkil Se Yaad Aati Hai;

Vo Jis Ke Naam Se Hote Na The Juda Mere Lab!

Tum Us Ke Paas Ho Jis Ko Tumhari Chaah Na Thi;

Kahan Pe Pyaas Thi Dariya Kahan Banaya Gaya!

Dekhoge To Aaegi Tumhen Apni Jafa Yaad;

Khamosh Jise Paaoge Khamosh Na Hoga!

Kaun Badan Se Aage Dekhe Aurat Ko;

Sab Ki Aankhen Girvi Hain Is Nagri Mein!

Aap Chheden Na Vafa Ka Qissa;

Baat Mein Baat Nikal Aati Hai!

Yaaron Ka Tarz-E-Hausla-Afzaai Dekhiye;

Tahseen Mein Tanz Ka Patthar Chhupa Hua!

Ek Husn E Mukammal Hai To Ek Ishq Saraapa;
Hoshiyar Sa Ek Shakhs Hai Deewana Sa Ek Shakhs!

Mujhe Ye Dar Hai Teri Aarzoo Na Mit Jaaye;

Bahut Dinon Se Tabiyat Meri Udaas Nahin!

Aarzoo Hai Ki Tu Yahan Aaye;

Aur Phir Umr Bhar Na Jaaye Kahin!

End of content

No more pages to load

Next page