Gar Kis Diljale Ki Hai Ye Falak,
Shola Ek Subah Yaan Se Uthta Hai;
Khana-e-Dil Se Zinhar Na Ja,
Koi Aise Makaan Se Uthta Hai!
*Zinhar :Quarter, Refuge, Mercy
Jis Ahd Mein Lut Jaye Faqeeron Ki Kamai,
Us Ahd Ke Sultan Se Kuch Bhool Hui Hai;
Ai Adam Ke Musafiro Hoshiyar,
Raah Mein Zindagi Khadi Hogi!
Kahan Ke Mahir-o-Kamil Ho Tum Hunar Mein 'Adil'
Tumhare Kaam To Parvar Deegar Karta Hai!
Ujad Jaye Jo Iss Duniya Ki Zidd Mein,
Woh Dil Abaad Rakhna Shayari Hai;
Mohabbat Hai Kisi Ka Yaad Aana,
Kisi Ko Yaad Rakhna Shayari Hai!
Betab Sa Phirta Hai Kayi Roz Se 'Aasi';
Bechare Ne Phir Tum Ko Kahin Dekh Liya Hai!
Har Ek Aankh Mein Hoti Hai Muntazir Koi Aankh;
Har Ek Dil Mein Kahin Kuch Jagah Nikalti Hai!
Zubaan Khamosh, Aankhon Mei Nami Hogi,
Yahi Bas Meri Ek Dastan-e-Zindagi Hogi;
Bharne Ko To Har Zakham Bhar Jayega,
Kaise Bharegi Wo Jagah Jahan Teri Kami Hogi!
Ye Fitna Aadmi Ki Khana-Veerani Ko Kya Kam Hai;
Hue Tum Dost Jis Ke Dushman Us Ka Aasman Kyon Ho!
Zor Qismat Pe Chal Nahi Sakta;
Khamoshi Ikhtiyar Karta Hun!
Muddat Ke Baad Aaj Use Dekh Kar 'Munir';
Ek Baar Dil To Dhadka Magar Phir Sambhal Geya!