
Hazar Baar Jo Manga Karo To Kya Hasil;
Dua Wahi Hai Jo Dil Se Kabhi Nikalti Hai!

Sab Ne Kaha Dosti Ek Dard Hai,
Hum Ne Kaha Qubool Hai;
Sab Ne Kaha Is Dard Ke Saath Jee Nahi Paoge,
Hum Ne Kaha Teri Dosti Ke Saath Marna Bhi Qubool Hai!

Kyon Maang Rahe Ho Kisi Barish Ki Duayein;
Tum Apne Shikasta Dar-o-Deewar To Dekho!
* Shikasta:Broken

Siyah Ped Hain Ab Aap Apni Parchayin,
Zameen Se Ta-mah-o-Anjum Sukut Ke Minar;
Jidhar Nigah Karen Ik Athah Gum-Shudgi,
Ek Ek Kar Ke Fasurda Charaghon Ki Palken!

Hairat Se Takta Hai Sahra Barish Ke Nazrane Ko;
Kitni Door Se Aayi Hai Ye Ret Se Haath Milane Ko!

Dil Na Pahuncha Gosha-e-Daman Talak,
Qatra-e-Khoon Tha Mizha Par Jam Raha;
Sunte Hain Laila Ke Kheme Ko Siyah,
Us Mein Majnun Ka Magar Matam Raha!

Aaj Dekha Hai Tujh Ko Der Ke Baad;
Aaj Ka Din Guzar Na Jaye Kahin!

Gham Raha Jab Tak Ki Dum Mein Dum Raha,
Dil Ke Jaane Ka Nihayat Gham Raha;
Husn Tha Tera Bahut Alam-Fareb,
Khat Ke Aane Par Bhi Ik Aalam Raha!

Nahi Ilaj-e-Gham-e-Hijr-e-Yaar Kya Kijiye;
Tadap Raha Hai Dil-e-Be-Qarar Kya Kijiye!

Nazuki Us Ke Lab Ki Kya Kahiye;
Pankhudi Ik Gulab Ki Si Hai!