Teri Nisbat Mili Mujhe Jab Se,
Main Koi Aarzoo Nahin Karta;
Yaadon Ke Nasheman Ko Jalaya To Nahi Hai,
Hum Ne Tujhe Is Dil Se Bhulaya To Nahi Hai!



Afzal Allahabadi

Ye Kis Maqam Pe Sujhi Tujhe Bichadne Ki;
Ki Ab To Ja Ke Kahin Din Sanwarne Wale The!



Jamal Ehsani

Aaine Mein Woh Dekh Rahe The Bahar-e-Husn;
Aaya Mera Khayal To Sharma Ke Rah Gaye!




Hasrat Mohani

Sazayein Dekhta Hun Aur Sochta Hun Main;
Jahaan Mein Ishq Se Badh Kar Koi Bhi Jurm Nahi!

Karta Raha Woh Mujh Pe Sada Meharbaniyan;
Kuch Aur Dhundhti Rahi Main Meharban Mein!

Bas Isi Umeed Pe Hota Geya Barbad Main;
Gar Kabhi Bikhra To Aa Kar Tu Sambhalega Mujhe!

Koi Le Le To Dil Dene Ko Main Tayyar Baitha Hun;
Koi Mange To Apni Jaan Tak Qurban Karta Hun!

Baare Duniya Mein Raho Gham-Zada Ya Shaad Raho;
Aisa Kuch Kar Ke Chalo Yaa Ki Bahut Yaad Raho!

Ilaj-e-Dard-e-Dil Tum Se Masiha Ho Nahi Sakta;
Tum Achcha Kar Nahi Sakte Main Achchha Ho Nahi Sakta!

Vahan Se Hai Meri Himmat Ki Ibtida Vallah;
Jo Intiha Hai Tere Sabr Azmane Ki!

End of content

No more pages to load

Next page