Agar Maujen Dubo Deti To Kuch Taskeen Ho Jaati;
Kinaaron Ne Duboya Hai Mujhe Is Baat Ka Gham Hai!
Kya Sitam Hai Ki Ab Teri Surat;
Ghaur Karne Pe Yaad Aati Hai!
Wafaon Ke Badle Jafa Kar Rahe Hain;
Main Kya Kar Raha Hoon Wo Kya Kar Rahe Hain!
Apne Hone Ka Kuch Ehsaas Na Hone Se Hua;
Khud Se Milna Mera Ik Shakhs Ke Khone Se Hua!
Raat Din Gardish Mein Hain Lekin Pada Rehta Hoon Main;
Kaam Kya Mera Yahan Hai Sochta Rehta Hoon Main!
Ye Auraton Mein Tawaif To Dhoond Lete Hain;
Tawaifon Mein Inhein Auratein Nahi Milti!
Haseen Teri Aanhken Haseen Tere Aansu;
Yahin Doob Jane Ko Jee Chahta Hai!
Tanz Ka Zehar Bhara Hota Hai Ab Baaton Mein;
Lutf Kya Aayega Logon Se Mulaqaton Mein!
Dilon Ka Zikr Hi Kya Hai Mile Mile Na Mile;
Nazar Milao Nazar Se Nazar Ki Baat Karo!
Mausam-E-Gul Humein Jab Yaad Aaya;
Jitna Gham Bhule The Sab Yaad Aaya!