
Zindagi Ke Udaas Lamhon Mein; Bewafa Dost Yaad Aate Hain!

Kisi Gul Ki Qaba Milti Nahi Tehriq Se Khali, Junoon Ne Le Ke Banti Hain Ye Kitni Dhajjiyan Mujh Se; Pila Saaqi Ki Reh Jaye Khumar-e-Kaif Ka Parda, Bas Ab Rukti Nahi Aati Hui Angdaiyan Mujh Se! *Khumar-e-Kaif: Exhilaration *Qaba: apparel, garment

Badan Ke Donon Kinaron Se Jal Raha Hun Main; Ki Chhu Raha Hun Tujhe Aur Pighal Raha Hun Main!

Zidd Har Ik Baat Par Nahi Achchhi;
Dost Ki Dost Maan Lete Hain!

Hum Saans Bhi Lene Ke Saza-Var Na Thehre,
Maazi Ke Kharabe Ki Bhi Deewar Na Thehre;
Sau Baar Dhuan Phool Ke Seene Se Utha Hai,
Badal Ke Qadam Baagh Mein Ik Baar Na Thehre!
*Maazi: Past
*Kharabe: Waste

Isi Shehar Mein Kayi Saal Se Mere Kuch Qaribi Azeez Hain;
Unhein Meri Koi Khabar Nahi Mujhe Unka Koi Pata Nahi!

Dekha Nahi Wo Chaand Sa Chehra Kayi Din Se;
Tareek Nazar Aati Hai Duniya Kayi Din Se!

Tum Ko Ye Hai Agar Yaqeen Dil Mein Wo Jalwa-Gar Nahi,
Dhoondha Karo Tamam Umar Milne Ka Umar-Bhar Nahi;
Aaye Na Aaye Be-Khabar Kya Tujhe Ye Khabar Nahi,
Saans Ka Aitbar Kya Shaam Hai To Sahar Nahi!

Ab Aur Der Na Kar Hashr Barpa Karne Mein;
Meri Nazar Tere Deedar Ko Tarasti Hai!

Wo Afsana Jise Anjam Tak Laana Na Ho Mumkin;
Use Ik Khoobsurat Mod De Kar Chhodna Achha!