
Khansi Aur Hichki Ka Farq Gair Vaazeh Hota Hai;
Awaam Ke Masihaaon Aur Khuda Ke Vakeelon Ko Muakkil Aur Dastaane Nahi Milte!

Kachhe Makaan Jitne The Barish Mein Beh Gaye;
Varna Jo Mera Dukh Tha Vo Dukh Umar Bhar Ka Tha!

Aaj Van Teg-o-Kafan Bandhe Hue Jata Hun Main;
Uzr Mera Qatal Karne Mein Wo Ab Lavenge Kya!
*Teg-o-Kafan: Sword and Shroud

Un Ki Nazar Ke Saath Hi Saara Zamana Phir Gaya,
Gardish-e-Chashm-e-Naaz Hai Gardish-e-Rozgar Kya;
Bad-e-Khizan Ki Mauj Thi Ghuncha-e-Dil Ke Haq Mein Sam,
Mausam-e-Gul Ki Bhi Hawa Hogi Na Sazgar Kya!
* Gardish-e-Chashm-e-Naaz: Movement eyes of coquetry
* Sazgar: Agreeable, favourable,

Jab Tere Nain Muskurate Hain;
Zeest Ke Ranj Bhool Jate Hain!

Barsaat Tham Chuki Hai Magar Har Shajar Ke Paas;
Itna To Hai Ki Aap Ka Daman Bhigo Sake!

Mit Ke Bhi Us Ki Justuju Hai Jo Jahan Mein Char-Su,
Lega Kisi Jagah Qarar Udta Hua Ghubar Kya;
Ho Chuki Khatam Sham-e-Gham Aankhon Mein Aa Chuka Hai Dum,
Ab Bhi Mareez-e-Hijr Ko Un Ka Hai Intezar Kya!
* Justuju: To look for lost object
* Char-Su: In all the four directions

Aap Ne Tasveer Bheji Maine Dekhi Ghaur Se;
Har Ada Achhi Khamoshi Ki Ada Achhi Nahi!

Toot Padti Thi Ghataen Jin Ki Aankhen Dekh Kar;
Wo Bhari Barsaat Mein Tarse Hain Paani Ke Liye!

Qabron Mein Nahi Hum Ko Kitabon Mein Utaro;
Hum Log Mohabbat Ki Kahani Mein Maren Hain!