Sau Jaan Se Ho Jaunga Raazi Main Saza Par, Pehle Wo Mujhe Apna Gunahgar To Kar Le! |
Hum Unke Dil Par Raaj Karte The, Mera Dil Jinka Ghulam Aaj Bhi Hai! |
Yaad Nahi Kya Kya Dekha Tha Sare Manzar Bhool Gaye; Ush Ke Galiyon Se Jab Laute Apna Bhi Ghar Bhool Gaye; Khub Gaye Pardes Ki Apne Deewar-o-Dar Bhool Gaye; Sheesh-Mahal Ne Aisa Ghera Matti Ke Ghar Bhool Gaye! |
Kahin Sher-o-Nagma Ban Ke Kahin Aansuon Mein Dhal Ke, Wo Mujhe Mile To Lekin Kai Surtein Badal Ke! |
Kuch Khaas Nahi In Haathon Kee Lakiron Mein, Magar Tum Ho To Ek Lakir Hi Kaafi Hai! |
Kab Woh Zahir Hoga Aur Hairan Kar Dega Mujhe; Jitni Bhi Mushkil Mein Hun Aasan Kar Dega Mujhe; Roo-b-Roo Kar Ke Kabhi Apne Mehakte Surkh Honth; Ek Do Pal Ke Liye Guldaan Kar Dega Mujhe! |
Nafrat Na Kabhi Karna Humse; Yeh Hum Seh Nahi Paayenge; Ek Baar Keh Dena Humse Zaroorat Nahi Ab Tumhari; Kasam Khuda Kee Tumhari Duniya Se Hans Kar Chale Jayenge! |
Kuch Sochta Hun To Tera Khayal Aa Jata Hai; Kuch Bolta Hun To Tera Naam Aa Jata Hai; Kab Tak Chupa Ke Rakhun Dil Kee Baat Ko; Uski Har Ada Par Mujhe Pyaar Aa Jata Hai! |
Saari Duniya Ye Samajhti Hai Ki Saudai Hai, Ab Mera Hosh Mein Aana Teri Ruswayi Hai! |
Baat Sirf Itni Si Thi Ki Tum Achhe Lagte The, Baat Ab Itni Badh Gayi Hai Ki Tumhare Siwa Koi Achha Nahi Lagta! |