• Types of Ghar!

    Teacher Class Mein Ek Sawaal Puchta Hai: Pappu Beta, Ye Batao Ki Ghar Kitne Prakaar Ke Hote Hain?

    Pappu: Sir Ji, Jo Ghar Housle Se Banaye Jaate Hain Unhe 'House' Kehte Hain,

    Jin Gharon Mein Hawan Hote Hain Unhe 'Home' Kehte Hain,

    Jin Gharon Mein Hawa Jyada Chalti Hai Unhe 'Haveli' Kehte Hain,

    Jin Gharon Mein Dewaaron Ke Bhi Kaan Hote Hai Unhe 'Makaan' Kehte Hain,

    Jin Gharon Ke Loan Ki Instalments Bharne Mein Aadmi Hamesha Late Ho Jata Hai Unhe 'Flat' Kehta Hian...
    Aur Jin Gharon Mein Ye Bhi Pata Na Ho Ki Bagal Wale Gharon Mein Rehta Hai Unhe 'Bangla' Kehte Hain.

    Teacher Ji Abhi Tak Behosh Hain...
  • Invitation For Dinner

    Aaj Subah Mera Ek Naya Dost, Jo Ki Bengali Hai, Mere Ghar Aaya Aur Bola: Aaj Shaam Ko Hamare Ghar Bhojan Hai, Aap Shob Oaiyega.

    Meine Kaha Theek Hai, Hum Zaroor Aayenge.

    Maine Apne Wife Se Kaha Ki Shaam Ka Khaana Friend Ke Ghar Hai, Isliye Aaj Khana Mat Banana Aur Time Pe Ready Ho Jaana. Shaam Ko Hum Dono Theek Time Pe Apne Us Dost Ke Ghar Pahunch Gaye.

    Wahan Kuch Bengalis Pehele Se Baithe Dholak-Chimta, Harmonium-Tabla Baja Rahe The Aur Bengali Mein Kuch Gaa Rahe The.... Kuch Kirtan Type Ka Programme Tha Shayad.

    Hum Bhi Chupchap Baithe Rahe Aur Sunte Rahe.

    Thodi Der Ke Baad Ye Sab Khatam Hua Aur Phir Us Dost Ne Sabko Prasad Diya Aur Haath Jodkar Kaha: Aaj Ka Bhojan Ka Programme Khotam... Aap Shob Ka Dhonyabad.

    Phir Hum Waha Mayoos Se Hokar Nikal Aye... Shrimati ji Full Gusse Mein Thi... Saare Raaste Munh Fula Ke Baithi Rahi.

    Bas Abhi Thodi Der Pehle Hi Ghar Pahunche Hain... Mein Kitchen Mein Dinner Ka Jugaad Kar Raha Hun Kyunki Shrimatiji Ka Hukum Hai Ki Bahar Se Khaana Order Nahin Karna Hai.
  • Shadi Ka Darr

    Ek Aadmi Ne Ek Bujurg Se Pucha Ki Aapne Jeevan Bhar Shadi Kyun Nahin Ki?

    Wo Bujurg Bola: Mein Tumko Ek Chota Sa Kissa Sunata Hun. Ye Baat Meri Jawani Ke Time Ki Hai. Mein Ek Party Mein Gaya Tha. Wahan Anjaane Mein Mera Pair Aagey Khadi Ek Aurat Ki Saree Ke Latakte Hue Pallu Pe Pad Gaya.

    Vo Naagin Ki Tarah Funkaar Maarkar Ekdum Se Palti Aur Sherni Ki Tarah Dahar Ke Boli: Dhyaan Kahan Hai Tumhara... Dekh Ke Nahin Chal Sakte.... Andhey Ho Gaye Ho Kya... ?!?

    Main Haklakar Maafi Mangne Laga... Galti Se Ho Gaya Madam... Vo Mein....

    Tabhi Uski Nazar Mere Chehre Pe Padi, Aur Vo Thoda Shaant Ho Gayi Aur Boli: Oh! Maaf Kijiye, Mujhe Laga Ki Mere Pati Hain, Isliye Mein Itna Kuch Bol Gayi.

    Bas Beta... Phir Kuch Himmat Si Nahin Hui Sahadi Karne Ki.
  • Biwi Ka Khauf!!!

    Mandir Mein Raat Ko Bhajan Aur Kirtan Ka Programme Tha. Suresh Ka Dil Kara Raha Tha Jaane Ka Lekin Uski Patni Ne Mana Karte Hue Kaha: Tum Pata Nahi Kab Tak Aoge, Late Ho Jaoge..... Mein Kab Tak Jaagti Rahungi?

    Suresh Ne Apni Patni Ko Vishwas Dilate Hue Kaha: Mein 11 Baje Tak Vaapas Aa Jaunga... Promise.

    Patni Ji Maan Gayi Aur Kaha: Theek Hai... Lekin 11 Baje Matlab 11 Baje.

    Bhajan Sandhya Mein Suresh Kuch Is Tarah Doob Gaya Ki Time Ka Dhyan Hi Nahin Raha. Jab Suresh Ne Ghadi Ki Taraf Dekha Toh 1 Baj Raha Taha.... Suresh Ji Ki Haalat Patli Ho Gayi. Vo Chappal Haath Mein Liye Daudne Lage Aur Har Har Mahadev Bolte Gaye.

    Bhajan Sandhya Ka Mahaul Kaafi Alokik Tha... Aur Shiv Ji Bhi Vahin The. Unhone Suresh Ko Bhaagte Hue Dekha To Uski Help Ke Liye Aaye Aur Bole: Bol Bhakt, Kya Problem Hai?

    Suresh: Jai Ho Bhole Nath, Aap Mere Saath Ghar Tak Chalo. Mein Jab Knock Karoon Toh Aap Aagey Aake Sambhaal Lena, Nahin Toh Meri Patni Mujhe Aaj Mujhe Maar Dalegi.

    Shiv Ji: Vats... Tumhari Patni Tumhe Kyun Maregi ?

    Suresh: Hey Prabhu, Mein Apni Patni Ko 11 Baje Ka Bol Ke Aaya Tha.

    Shiv Ji: Abhi Kitne Baje Rahe Hain?

    Suresh: Ab Toh 1 Baj Raha Hai Prabhu.

    Ye Sunte Hi Shiv Ji Bhi Bhaagne Lage. Suresh, Badi Hi Hairaani Se Puchta Hai: Kya Hua Prabhu... Aap Kyun Bhaag Rahe Hain?

    Shiv Ji Daudte Daudte Bole: Bachcha, Mein Khud 12 Baje Ka Bol Ke Aaya Tha.

    Patni Matlab Patni... Chahe Vo Kisi Ki Bhi Ho!!!
ADVERTISEMENT
ADVERTISEMENT