Muntazir Kis Ka Hun Tooti Hui Dehleez Pe Main; Kaun Ayega Yahan Koi Hai Aane Wala! |
Kal Jo Tha Aaj Wo Mizaaz Nahi; Iss Talavvun Ka Kuch Ilaaz Nahi! Mizaaz: Nature, Coquetry Talavvun: Instability, Agility |
Kal Jo Tha Aaj Woh Mizaaz Nahi; Is Talavvun Ka Kuch Ilaaz Nahi! Mizaaz: Nature, Coquetry Talavvun: Instability, Agility |
Abhi Mazaar Par Ahbaab Fatiha Padh Len; Phir Is Qadar Bhi Hamara Nishaan Rahe Na Rahe! Mazaar: Grave Ahbaab: Friends Fatiha: Prayer For The Dead |
Aage Aati Thi Haal-e-Dil Par Hasee; Ab Kisi Baat Par Nahi Aati! |
Hai Rashk-e-Iram Wadi-e-Pur-Khaar-e-Mohabbat; Shayad Use Sinchaa Hai Kisi Aabla-Paa Ne! Rashk-e-Iram Wadi-e-Pur-Khaar-e-Mohabbat: A Beautiful But Thorny Valley Of Love Aabla-Paa: Someone With Blisters In The Feet |
Aah Ko Chahiye Ek Umar Asar Hone Tak; Kaun Jeeta Hai Teri Zulf Ke Sar Hone Tak! Umar: Age Asar: Influence, Take Effect Zulf: Hair Sar Hone Tak: Till They (the Hair) Get Untangled And Are Tied |
Uzr Aane Mein Bhi Hai Aur Bulate Bhi Nahi; Baais-e-Tarq-e-Mulaqaat Batate Bhi Nahi! Uzr: Excuse Baais-e-Tarq-e-Mulaqaat: The reason to discontinue meeting |
Bhoolein Hain Rafta-Rafta Unhein Muddaton Mein Hum; Kishton Mein Khudkushi Ka Maza Hum Se Puchiye! Rafta-Rafta: Very Slowly Muddat: Time Kisht: Installment Khudkushi: Suicide |
Har Saal Zard Phoolon Ka Ek Qafila Ruka; Us Ne Jahan Pe Dhool Aate Paaon Dhoye The! Zard: Yellow |